kesar ke fayde (saffron benefits) - sehat aur nuskhe health tips

get health tips nuskhe,use and benefits of ayurvedic unani herbs in hindi/urdu.

Wednesday 14 February 2018

kesar ke fayde (saffron benefits)

kesar ke fayde (saffron benefits)

kesar ek flower me se nikalta hai iski mizaaj garam hoti hai aur ye mehanga aur bohat hi faydemand cheez hai ye kaafi mulk me istemal hota hai, india aur pakistan me log isse khane me,doodh,meethayi aur dawa me bhi istemaal karte hai,kesar ka rang bada shaandar aur mahek iski lajawab hoti hai,biryani aur mithayi me isko daalne se zayke ki baat hi kuch aur hojati hai,

kesar chehre ko nikharta hai,depression ko dur karta hai,mood ko acha karta hai aur ye mardon ke liye bhi bohat mufeed hai.

aayiye hum iske kuch aur fayde aur nuskhe jaan lete hain.

||tips for health||



1.kesar chehre ki rangat ko nikharta hai aur khoobsurti ko badata hai.


2.Kesar doodh ke saat peene se sharir me taqat aati hai.


3.Kesar aankhon ki roshni badane me bhi bohat mufeed hai.


4.Masodon ke problem ke liye bhi kesar bohat acha hai.


5.sir ka dard,headache ya migrane ki shikayat hai to kesar aur chandan ka lep bana kar lagayein aur doodh me kesar mila ke peene se bhi fayda hoga.


6.blood pressure controller-kesar ko doodh ya kali chai me lene se blood pressure control rehta hai.


7.Kesar aapke hair loss (baalon ka jhadna) rokta hai, kesar ko nariyal(coconut) ke tel(oil) me milakar 10-15 mint massage karne se baalon ke jhadna band hoga.


8.kesar ko pani me bhiga lein aur doodh ko ubal lein aur isme bhigaya hua kesar add karein aur thoda garam kar ke thodi chini add kar ke pee lein.

iske istemaal karne se quwwat me izaafa hoga aur stamina badega kamzori dur hogi.


9.kidney aur liver ke liye bhi kesar bohat faydemand hai.kidney aur liver ko tandrust rakhne ke liye kesar ka istemal kar sakte hai.


10.cold,cough&fever me kesar bohat acha hai kesar milk lene se cold me araam mil jata hai.


11.kesar (arthritis) jodon ke dard me bhi kaafi faydemand hai


note:-kesar ka mizaaj garam hota hai isko zyada miqdaar me nahi lena chaiye aur garmiyon ke mausam me iska istemaal kam karna chaiye thand ke mausam me ye best hai.


toh ye the kuch kesar ke fayde benefits ab janenge skin,chehre ke rangat ke liye kuch nuskhe...



||tips for skin health with kesar||


1.KESAR AUR CHANDAN:Kesar ko ek chamach garam paani me bhiga dein aur chandan powder ka paste bana lein,Kesar ko achchi tarah ghot kar
chandan ke paste me mila ke phir se mix karein. Yeh paste ko chehre par lagane se thandak milta hai aur muhason pimples se chutkara milega.

2.KESAR & MILK: Kesar ko 3-4 chamach garam doodh me bhiga ke iska lep bana kar chehre par lagane se chehre me chamak aur nikhaar aajayga.

3.KESAR & BADAM:kesar aur badam ko alag se garam paani me bhiga kar paste bana lein aur thoda shahad(honey) mila kar chehre par lagayein
iske istemaal karne se chehra saaf hojayga,jhurriyan aur kaale dhabbe bhi chale jayenge.

yeh the kesar ke kuch fayde aur nuskhe main umeed karta hun ye aap logon ko madat karenge,kesar ka istemaal karein,nuskhe istemaal karein inshallah fayda hoga aur sab se share bhi karein...shukriya!




No comments:

Post a Comment