Isabgol ke fayde (benefits of psyllium husk) - sehat aur nuskhe health tips

get health tips nuskhe,use and benefits of ayurvedic unani herbs in hindi/urdu.

Tuesday 13 February 2018

Isabgol ke fayde (benefits of psyllium husk)

Isabgol ke fayde(benefits of psyllium husk)

isabgol(psyllium husk) khudrat ka ek behtareen tohfa hai iska mizaaj thanda hota hai,yeh pet ke bohat se beemariyon ko khatam karta hai aur bohat faydemand hai,

to aayiye iske baare me hum aur malomaat karte hai.


isabgol(psyllium husk) kabz,pet me jalan (acidity) pet me dard ko dur karta hai,dast band kar deta hai,pakhaane me khoon(piles) jaisi beemari me bhi aaram deta hai,

jodo ke dard se nijaad dilata hai,sharir me pani ki kami,motapa(obesity) ehtelam(nightfall) aur sugar(diabates) me bhi isabgol mufeed hai.

isabgol ke fayde to humne jaan liye, ab hum isko kaise istemaal karein aur kab karein kis marz ke liye karein ye jaanenge.

1.kabz,hazma yani (digestion) ko durust karne ke liye aur jodo ke dard me aaram ke liye raat ke khaane ke aadhe ghante baad ek glass doodh me 2 chamach(2 teaspoon) isabgol ka chilka shamil kar ke istemaal karein bohat fayda dega.


2.sugar(diabetes),pakhane me khoon ka aana (piles) aur lambe waqt se kabz ka hona is problem ke liye nihaar pet subah naaste se 15-20mint pehle,1 glass pani me 2 chamach(2 teaspoon) isabgol ke chilke ko add kar ke ek din me ek baar le lein.


3.motapa(obesity) aur weight control karne ke liye iska din me 2-3 baar khaana khane se aadha ghanta pehle paani ke saat istemaal karein.


4.ehtelam (nightfall) ki zyadati ke liye 1 cup doodh me aadha chamach chini(sugar),dedh chamach(1 and a half teaspoon) isabgol ka chilka add kar ke mix kar lein 

aur isko sone se pehle fridge me rakh dein phir subah naaste se 15-20mint pehle kha lein. bohat hi faydemand nuskha hai nightfall ke liye.

note:- sugar(diabetes) ke mareez sugar add na karein.



to ye the kuch isabgol ke fayde aur nuskhe istemaal kar ke dekhein iske istemaal karne se koi nuksaan nahi iska koi side-effect nahi.

aur apne doston se rishtedaron se bhi share karein.shukriya!



3 comments:

  1. Great article! I agree on nearly every aspect of this information you have written. Your article is an excellent showing of writing skills that my children should be using. You have great insight on this topic. Thank you for making this so clear and understandable. Thank you for helping us. Ispaghol

    ReplyDelete