akhrot ke fayde benefits of walnut - sehat aur nuskhe health tips

get health tips nuskhe,use and benefits of ayurvedic unani herbs in hindi/urdu.

Sunday, 18 February 2018

akhrot ke fayde benefits of walnut

Akhrot ke fayde (benefits of walnut)

akhrot ke fayde benefits of walnut

Akhrot ek mazedaar dry fruit hain jo vitamins&nutrients se mukammal hai,iske kaafi saare fayde hain,iska mizaaj garam khushk aur iska zaika thoda namkeen thoda phika hota hain aur khane me bada maza aata hain,akhrot me carbohydrates,protein,calories,fatty acids,calcium,vitamin E,B6,B12,C aur iron,magnessium,phosphorus,potassium,sodium,zinc,copper,selenium,riboflavin vitamins&minerals se mukammal hota hain,jo humein sehat,taqat,energy aur active rakhta hain.

aayiye aage badein aur jaane akhrot ke kuch aur fayde aur nuksaan.


||Top benefits of walnut||

1.brain health

akhrot ka shape dekha jaiye to yeh humein dimaag jaisa lagta hain,aur yeh humare dimaag ko bhi tandrusti deta hain,isme fatty acids jaise omega-3 aur 6 maujood hain,jo humare dimag ko tandrusti aur taqat dete hain,memory ko tezz kar dete hain.padhne likhne wale bacchon ko 2-3 akhrot zaroor khana chaiye.

2.heart

akhrot bad cholesterol yani LDL ko kam karta hain,aur good cholesterol HDL ko badhata hain jisse humare dil me khoon ki dauran achi chalti hain,aur dil me koi heart diseases yani dil ki beemariyan paida nahi hoti.

3.weight control

aksar logon ko yeh lagta hoga ki walnuts se wazan badh jata hain,lekin aisa kuch nahi hain,doctors ne bhi yeh baat ko mana hain ke akhrot wazan ko maintain rakhta hain.kyu ki,isme protein,fats aur calories sahi level me maujood hote hain jo humare wazan ko badhne nahi dete hain.

4.cancer

akhrot dikhne me to ek chota sa sukha phal hain lekin,yeh cancer jaisi beemariyon se bhi humein bachata hain,breast cancer,colon cancer aur prostate cancer jaisi beemariyon ke liye akhrot bohat hi umda phal hain,scientific research ke mutabiq bhi yeh pata chala hain ke akhrot ke khane se cancer 30-40% logon me kam hogaya.

5.bones

akhrot khane se haddiyan me mazbooti aati hain.kyu ki,isme calcium hota hai jo humare haddiyon ko mazboot rakhta hain.jodon ke dard,hadiyon me sujun me bhi aaram dilata hain.

6.walnuts for men

ji haan aapne sahi padha akhrot ke khaane se mardon ko kaafi fayda hota hain,isme selenium,zinc,calium jaise minerals aur vitamins mani sperms ko badhate hain aur sperm ki motility aur quality me fayda karte hain aur testosterone jaise male hormones ko increase karte hain.

7.walnuts for pregnant women 

hamela aurat yani pregnant women agar akhrot khaye to uske bache dani(womb) me taqat aur bache ki health kaafi achi hoti hain bacche ke brain development me kaafi fayda deta hain.

8.insomnia

insomnia yani neend ka time pe nahi aana akhrot khane se neend ache se aati hain,yeh insomnia ko treat karta hain.

9.skin

akhrot humare skin bhi bohat fayda deta hain,iske nutrients humare skin pe dhabbe daag aur jhurriyon ko kam karte hain skin me chamak laate hain.

10.hair

baalon ke liye bhi akhrot bada faydemand hain,yeh baalon ko girne se bachata hain baalon me mazbooti aur chamak lata hain aur baalon ko safed nahi hone deta hain.

note:-akhrot ke fayde to bohat hain,lekin iske kuch nuksanat bhi hain,akhrot mizaaj garam hota hain iske ke zyada khane se yani ek din me 5-6 akhrot khane se pet me haazma kharab,pet dard,dast lag jana aur balgam ka badhna,allergy bhi ho sakti hain.toh aapko akhrot ka miqdaar dhiyan me rakh kar khana chaiye.

2 comments:

  1. https://www.blogger.com/blogger.g?rinli=1&pli=1&blogID=5461278933038532326#editor/target=post;postID=1004058487498392262;onPublishedMenu=publishedposts;onClosedMenu=publishedposts;postNum=0;src=postname

    ReplyDelete